Bollywood Dialogues [Ranbir Kapoor Dialogues ]
Jab pyar mein pyar na ho ... jab dard mein yaar na ho ... jab aansoon mein muskaan na ho ... jab lafzon mein zubaan na ho ... jab saansein bas yoon hi chale ... jab har din mein raat dhale ... jab intezar sirf waqt ka ho ... jab yaad us kambhakht ki ho ... kyun hoon main raahi jab woh hai kisi aur ki manzil ... dhadkano ne saath chhod diya ... ae dil hai mushkil, ae dil hai mushkil
Ishq meri sehat ke liye achcha nahi hai
Tumhare jaisi ladkiyan flirting ke liye nahi ... ishq ke liye bani hai
Aasaan hai kya aisi mohabbat karna ... jiske badle mohabbat na mile
Shaadi is dal chawal for pachaas saal till you die ... arre life mein thoda bahut keema pav, tangdi kabab, hakka noodle bhi hona chahiye nah?
Tum pehle bhi itni khoobsurat thi ... yah waqt ne kiya koi haseen sitam?
Tumhari smile kitni dangerous hai pata hai? ... mere paas dil hota na, teri smile pe pakka aa jaata
Mohabbat karna hamare bas mein nahi hai ... us mohabbat se door chale jaana ... woh hamare bas mein hai
22 tak padhai, 25 pe naukri, 26 pe chokri, 30 pe bachche, 60 pe retirement ... aur phir maut ka intezaar ... dhat aaisi ghisi piti life thodi jeena chahta hoon
Ek tarfa pyar ki taqat hi kuch aur hoti hai ... auron ke rishton ki tarah yeh do logon mein nahi bat'ti ... sirf mera haq hai ispe